29 Mar, 2024 | 19 Ramadan, 1445 AH

Question #: 2486

August 20, 2019

As salamu alaikum hazrat. Mere naam Md. Intekhab Raunaque hai. Mai Singapore me job karta hun. Yahan Emam Shafai R.A ko manne waale musalman hai. Masjid me ba jamaat nemaz hone ke baad bhi khud jamaat bana kar namaz padh liya jaata hai. Mere sath ek masla pash araha hai jo 2 se zyaed martabah ho chuka hai. Kyunki yahan log farz namaz ko zyada tarjeeh dete hain to zyadatar log zohar me bhi farz namaaz se hi shuru karte hai. Mai emam Abu Hanifa R.A ko manta hu to mai zohar me 4 rakaat sunnat pahle padhta hun. Hota ye hai ki mai zohar me namaaz ki niyat bandh leta hu 4 rakaat sunnat ki to kabhi kabhi koi musalman bhai pichhe se akar mere bagal me niyat bandh lete hain namaz ki. Aur mukhtadi ke tariqe par mujhe follow karne lagte hain. Unka tariqa ye hota hai ke neeyat badhte waqt halki awaz me takbeer kah lete hain ya nahi to mujhe pichhe se touch kar lete hain aur fir niyat bandh lete hain. Ab agar mai 2 sre rakaat me hun sunnat namaz ki Aur wo farz namaz samajh rahe hain. To mai neeyat nahi todta hu Aur wo Mujhe akhiri tak follow karte hain Aur jaise mai salam ferta hun wo baaqi bache huwe rikaa ke liye khade ho jaate hain. Ab masla ye hai mujhe sharam aati hai unhe batate huwe ki mai sunnat padh raha tha. Aur dar is baat ka hai uski namaz hui ke nahi. Uska gunaah Mujhe to nahi ho jayega. To mujhe ye janna hai ki jaise koi mere pichhe namaz ki haalat me neeyat bandhe aur mai sunnat padh raha hun to kya mujhe neeyat tod leni chahiye aur pahle unke sath jamaat bana kar farz namaz pahle padh leni chahiye? Yaa neeyat nahi todni chahiye Aur jab mukhtadi ki namaz poori ho jaye to use bata dena laazmi ho jata hai? Ya mukhtadi ne jo apne dil me neeyat ki farz namaz ki to uski namaz qubool ho jayegi?

Answer #: 2486

الجواب حامدا ومصلیا

حضرات احناف کے نزدیک نفل یا سنت پڑھنے والے کے پیچھے فرض پڑھنے والے کی نماز نہیں ہوتی، جب کہ  امام شافعی رحمہ اللہ کے نزدیک ہوجاتی ہے،  لہٰذاصورتِ مسئولہ میں آپ   کے پیچھے  فرض پڑھنے والے  شافعی المسلک مقتدی کی نماز ہوجاتی ہے ،  آپ کو اس سے الجھنے اور بتلانے کی ضرورت نہیں۔

الموسوعة الفقهية الكويتية (6/ 22)

يشترط لصحة الاقتداء عند جمهور الفقهاء ( الحنفية والمالكية والحنابلة ) ألا يكون المقتدي أقوى حالا من الإمام ، فلا يجوز اقتداء قارئ بأمي ، ولا مفترض بمتنفل ، ولا بالغ بصبي في فرض ، ولا قادر على ركوع وسجود بعاجز عنهما.... وخالفهم الشافعية في أكثر المسائل.

والله اعلم بالصواب

احقرمحمد ابوبکر صدیق  غَفَرَاللّٰہُ لَہٗ

دارالافتاء ، معہد الفقیر الاسلامی، جھنگ

‏24‏ ذو الحجّہ‏، 1440ھ

‏27‏ اگست‏، 2019ء